
Naseer Turabi
is kaḌi dhuup men saaya kar ke
tu kahan hai mujhe tanha kar ke
main to arzan tha ḳhuda ki manind
kaun guzra mira sauda kar ke
tirgi TuuT paḌi hai mujh par
main pashiman huun ujala kar ke
le gaya chhin ke ankhen meri
mujh se kyuun vada-e-farda kar ke
lau iradon ki baḌha di shab ne
din gaya jab mujhe paspa kar ke
kaash ye a.ina-e-hijr-o-visal
TuuT jaa.e mujhe andha kar ke
har taraf sach ki duha.i hai ‘nasir’
sher likhte raho sachcha kar ke

Leave a Reply