
Behzad Lakhnavi
un ko but samjha tha ya un ko ḳhuda samjha tha main
haan bata de ai jabin-e-shauq kya samjha tha main
allah allah kya inayat kar ga.i mizrab-e-ishq
varna saz-e-zindagi ko be-sada samjha tha main
un se shikva kyuun karun un se shikayat kya karun
ḳhud baḌi mushkil se apna mudda.a samjha tha main
meri halat dekhiye mera taḌapna dekhiye
aap ko is se gharaz kya hai ki kya samjha tha main
khul gaya ye raaz un ankhon ke ashk-e-naz se
kaifiyat-e-husn ko gham se juda samjha tha main
ai jabin-e-shauq haan tujh ko baḌi zahmat hui
aaj har zarre ko un ka naqsh-e-pa samjha tha main
ik nazar par munhasir thi ziist ki kul ka.enat
har nazar ko jaan jan-e-mudda.a samjha tha main
aa raha hai kyuun kisi ka naam honTon tak mire
ai dil-e-muztar tujhe sabr-azma samjha tha main
aap to har har qadam par ho rahe hain jalva-gar
aap ko hadd-e-nazar se mavara samjha tha main
ye fughan ye shor ye naale ye shevan the fuzul
kya batati thi mohabbat aur kya samjha tha main
us nigah-e-naz ne ‘bahzad’ mujh ko kho diya
jis nigah-e-naz ko apni dava samjha tha main

Leave a Reply