jab bhi ye gardan jhuka li ja.egi
aap ki har baat ḳhali ja.egi
meri tarz-e-dostana ke ḳhilaf
kuchh na kuchh ḳhami nikali ja.egi
muflisi ko is se kya matlab ki kab
iid aa.egi divali ja.egi
bandhiye mazmun sanjida to phir
aap ki nazuk-ḳhayali ja.egi
jab qasam se mas.ale hote hain tai
ik qasam har baar kha li ja.egi
kijiye har ek Daali ka bachao
varna phir ik ek Daali ja.egi
ai ‘niyazi’ sach kahan hoga ki jab
maslahat lab pe saja li ja.egi
Leave a Reply