kya faash karun gham-e-nihan ko
payan nahin meri dastan ko
qisse ko na puchho mere hargiz
yaara hi nahin dil-o-zaban ko
darpai hain nasihaton ke yarab
samjhaun main kyuun ke dostan ko
go ham ne silaya jeb-o-daman
kya kijiyega chashm-e-khun-fishan ko
ho gar na vo shama-ru hi to phir
kya aag lagaun dud-man ko
guzra tha udhar se kal jo shayad
aaya tha vo mere imtihan ko
aae to abhi the mere sahab
aisi jaldi chale kahan ko
ai yaaro samajh ke bolo us bin
main jaunga bagh-o-bostan ko
‘asif’ abhi main ne kya kaha tha
tuk band nahin tiri zaban ko
Leave a Reply