chala hai le ke mujhe zauq-e-justuju mera
ab intizar kar ai jan-e-arzu mera
main ban saka na tera ye baja sahi lekin
kisi ko kyuun ye guman ho nahin hai tu mera
hava-e-dasht bahut duur le ga.i akasr
nahin asir-e-chaman zauq-e-rang-o-bu mera
shikast-e-dil ki talafi nazar se kya hogi
Tapak paḌe na tiri aankh se lahu mera
miri ghazal ke liye kaun muntazir hai ‘ravish’
pahunch gaya hai kahan shauq-e-guftugu mera
Leave a Reply