ab ye aalam hai ki jis shai pe nazar jaati hai
hu-ba-hu aap ki tasvir nazar aati hai
ḳhud ko tariḳh kisi vaqt jo dohrati hai
mere halat pe duniya ko hansa jaati hai
yad-e-ayyam-e-baharan bhi nahin vaj.h-e-sukun
ab to taz.in-e-qafas hi mujhe bahlati hai
barq ban ban ke giri hai mire dil par akasr
vo tajalli jo sar-e-tur nazar aati hai
aaj kuchh un ki tavajjoh men kami paata huun
zindagi maut se do-char hui jaati hai
dil bhar aata hai mira dekh ke nam aankh koi
apne rone pe to ab mujh ko hansi aati hai
main vo ik nang-e-zamana huun azal hi se ‘ra.is’
zindagi hai ki mire naam se sharmati hai
Leave a Reply