• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hausle the Kabhi Bulandi Par

Hausle the Kabhi Bulandi Par

hausle the kabhi bulandi par

ab faqat bebasi bulandi par

ḳhaak men mil ga.i ana sab ki

chaḌh ga.i thi baḌi bulandi par

phir zamin par bikhar ga.i aa kar

dhuup kuchh pal rahi bulandi par

khil rahi hai tamam ḳhushiyon men

ik tumhari kami bulandi par

ham zamin se yahi samajhte the

hai bahut raushni bulandi par

gir ga.i hain samaj ki qadren

chaḌh gaya aadmi bulandi par

zindagi dekh kar hui hairan

aa ga.i maut bhi bulandi par

mujh se sahra panah mange hai

dekh vahshat meri bulandi par

ham zamin par gire bulandi se

ḳhaak uḌ kar ga.i bulandi par

ek dil par kabhi hukumat thi

ya.ani main tha kabhi bulandi par

khal rahi hai kuchh ek logon ko

meri maujudgi bulandi par

hai ḳhuda samne mere maujud

aa ga.i bandagi bulandi par

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sirf thoDi Si Hai Ana Mujh Mein

poet

Usko Jis Se KHun Ka Rishta Na Tha

poet

Samajh Ke Dekho Ai Aarifan Tum Kiya Hai Haq Ne Ye Bhed Kaisa

Aankhon Mein KHwab Si Hain Yaaden Zara Zara Si

poet

Yahi Achchha Hai Jo Is Tarah Mitae Koi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet