bina dekhe tujhe apna bana kar dekh leta huun
main tere astan par sar jhuka kar dekh leta huun
suna hai raaz chahat ka chhupana saḳht mushkil hai
tiri tasvir ankhon men chhupa kar dekh leta huun
andhere dil ki basti ke bhi shayad duur ho jaa.en
main tere naam ki mash.al jala kar dekh leta huun
shikayat doston ki hai mire ahbab ke lab par
chalo ab dushmanon ko aazma kar dekh leta huun
vo gul jan-e-bahar-e-arzu hai log kahte hain
use shaḳh-e-tamanna par saja kar dekh leta huun
mujh kuchh bhi nahin hasil hua unchi uḌanon se
qadam apni zamin par ab jama kar dekh leta huun
dua apne liye main ne kabhi mangi nahin koi
tiri ḳhatir main haath apne uTha kar dekh leta huun
paron men un ke kitni taqat-e-parvaz baaqi hai
parinde apni sochon ke uḌa kar dekh leta huun
kahan pahunchega mera karvan-e-shauq ai ‘shahid’
main apne aap ko rahbar bana kar dekh leta huun
Leave a Reply