ye mas.ala hai aur koi mas.ala nahin
apna harif main huun koi dusra nahin
kal mujh pe khul gaya tira husn-e-munafiqat
is sanehe ke ba.ad koi saneha nahin
muflis nahin hai zehn-e-tahi-dast huun to kya
dast-e-talab daraz kahin bhi kiya nahin
har-gam-o-har-nafas rahe darpesh marhale
zauq-e-safar gavah ki main bhi ruka nahin
ai maslahat-pasand hamara bhi tere saath
har-chand rabta hai magar rabta nahin
duniya se chand roz men sab kuchh to mil gaya
milna ab aur kya hai jo ab tak mila nahin
mumkin nahin ki aa.en aza.em men laghzishen
uftada vaqt hi to hai uftad-pa nahin
chhoTa huun is liye mujhe ehsan hain sab ke yaad
mohsin ko bhuul ja.un main itna baḌa nahin
ahval vaqa.i to hai ḳhud hi zaban-e-jan
lekin sar-e-ghurur kahin bhi jhuka nahin
main tujh ko yaad aa.uun aur aa.uun tamam-umr
ai dost main bura huun par itna bura nahin
jau bone vaale bo ke to jau chal diye magar
kahte hain ab ke fasl men gandum uga nahin
ḳhvab-e-baqa ki bas yahi ta.abir hai ki ‘lais’
duniya men sirf ek fana ko fana nahin
Leave a Reply