• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Chandni Raat baDi Der Ke Baad Aai Hai

Chandni Raat baDi Der Ke Baad Aai Hai

kyuun ujaḌ jaati hai dil ki mahfil

ye diya kaun bujha deta hai

vo nahin dekhte sahil ki taraf

jin ko tufan sada deta hai

shor din ko nahin sone deta

shab ko sannaTa jaga deta hai

tum to kahte the ki rut ka jaadu

dasht men phuul khila deta hai

us ki marzi hai vo har rahat men

ranj thoḌa sa mila deta hai

dukh to deta hai tira gham lekin

dil ko iksir bana deta hai

tujh se pahle dil-e-betab mujhe

teri aamad ka pata deta hai

jan-e-man ek hasin chehra bhi

saari mahfil ko saja deta hai

ab tasalli bhi aziyyat hai mujhe

ab dilasa bhi rula deta hai

kyuun ujaḌ jaati hai dil ki mahfil

ye diya kaun bujha deta hai

vo nahin dekhte sahil ki taraf

jin ko tufan sada deta hai

shor din ko nahin sone deta

shab ko sannaTa jaga deta hai

tum to kahte the ki rut ka jaadu

dasht men phuul khila deta hai

us ki marzi hai vo har rahat men

ranj thoḌa sa mila deta hai

dukh to deta hai tira gham lekin

dil ko iksir bana deta hai

tujh se pahle dil-e-betab mujhe

teri aamad ka pata deta hai

jan-e-man ek hasin chehra bhi

saari mahfil ko saja deta hai

ab tasalli bhi aziyyat hai mujhe

ab dilasa bhi rula deta hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Ghazal Kahne Mein Yun to Koi Dushwari Nahin Hoti

Had-E-Unwan Se Aage aaKHir Afsane Kahan Jate

Aage Pichhe Us Ka Apna Saya Lahraata Raha

poet

Jalti Rut Mein Wo Phailta Saya Rakh Dega

Ek Hi Ghar Mein Rakh Diye Kis Ne Juda Juda Charagh

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet