main ujḌa shahr tha tapta tha dasht ke manind
tira vajud ki sairab kar gaya mujh ko
har aadmi men the do chaar aadmi pinhan
kisi ko DhunDne nikla koi mila mujh ko
hai mere dard ko darkar gosht ki ḳhushbu
bahut nahin tiri yadon ka silsila mujh ko
tiri badan men mere ḳhvab muskurate hain
dikha kabhi mere ḳhvabon ka a.ina mujh ko
Leave a Reply