kamar bandhe hue chalne ko yaan sab yaar baithe hain
bahut aage gae baaqi jo hain tayyar baithe hain
na chhed ai nikhat-e-bad-e-bahari raah lag apni
tujhe atkheliyan sujhi hain ham be-zar baithe hain
khayal un ka pare hai arsh-e-azam se kahin saaqi
gharaz kuchh aur dhun men is ghadi mai-khvar baithe hain
basan-e-naqsh-e-pa-e-rah-ravan ku-e-tamanna men
nahin uthne ki taqat kya karen lachar baithe hain
ye apni chaal hai uftadgi se in dinon pahron
nazar aaya jahan par saya-e-divar baithe hain
kahen hain sabr kis ko aah nang o naam hai kya shai
gharaz ro piit kar un sab ko ham yak baar baithe hain
kahin bose ki mat jurat dila kar baithiyo un se
abhi is had ko vo kaifi nahin hushyar baithe hain
najibon ka ajab kuchh haal hai is daur men yaaro
jise puchho yahi kahte hain ham bekar baithe hain
nai ye vaza sharmane ki sikhi aaj hai tum ne
hamare paas sahab varna yuun sau baar baithe hain
kahan gardish falak ki chain deti hai suna ‘insha’
ghanimat hai ki ham surat yahan do-char baithe hain
Leave a Reply