• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ishq Ne Daera Bana Rakkha

Ishq Ne Daera Bana Rakkha

ishq ne da.era bana rakkha

raqs men phir mujhe sada rakkha

nim-ḳhvabida us ki ankhon pe

hosh valon ne sab luTa rakkha

ḳhana-e-dil men dhaḌkanon ne sada

vird bas la ilaha ka rakkha

main ne puchha jo apne baare men

us ne phulon men aa.ina rakkha

diip rakkhe hain chaar samton men

panchven dar pe dil jala rakkha

ham ne ta-umr teri rahon men

farsh-e-dil aur jaan bichha rakkha

ishq men ashna paraston ne

ik sanam ek hi ḳhuda rakkha

vaqt-e-ruḳhsat tha mujh men bain magar

qahqahe ne bharam mira rakkha

sang-bari men vo bhi shamil tha

taḳht par jis ko tha biTha rakkha

niila paḌne laga badan mera

astin men ye tu ne kya rakkha

phir thaki haari ek ḳhvahish ne

zanu-e-shab pe sar ko ja rakkha

us pe marti jo na to kya karti

jis ne apna mujhe sada rakkha

ham bhi tasvir se nikal aa.e

us ne bhi bazuon ko va rakkha

ruuh ki be-qarari par tu ne

haath rakkha ki mo.ajiza rakkha

kasa-e-dil men ik savali ne

chuum kar ek naqsh-e-pa rakkha

mere malik ki mehrbani ne

mujh pe tauba ka dar khula rakkha

ek sukha hua shajar ‘jina’

gham ne tere hara-bhara rakkha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Sau Sadiyon Ka Nauha Hai

poet

Jurat Ai dil Mai O Mina Hai Wo Khud-Kaam Bhi Hai

Shakl Sahra Ki Hamesha Jaani-Pahchani Rahe

Shikasta Dil Kisi Ka Ho Hum Apna Dil Samajhte Hain

Jo Teri Shakl Ko Mahtab Nahin Kah Sakte

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet