gae dinon ki raqabat ko vo bhula na sake
sharik-e-bazm the lekin nazar mila na sake
azab-e-hijr ke lamhat ham bhula na sake
dayar-e-ghair men ik pal sukun pa na sake
bahut baiid na tha masalon ka hal hona
ana ke paanv se zanjir ham hata na sake
taalluqat men had-darja ehtiyat rahi
qarib aa na sake vo mujhe bhula na sake
fareb kha gae tab ja ke inkishaf hua
qarib rah ke bhi ham un ko aazma na sake
Leave a Reply