tum the ḳhuda tha aur mujassam dua tha main
yunhi tumhare naam na likkha gaya tha main
ḳhvahish ke phailte hue manzar men tum hi tum
jazbon ke ik hisar men simTa hua tha main
kuchh ye bhi tha ki tum ne mujhe asman kiya
kuchh yuun bhi tha ki ḳhud men kahin kho gaya tha main
tum ne hi naqsh naqsh kiya har lakir ko
varna ḳhud apne ruup kahan janta tha main
ik tum hi jante the miri saari adaten
be-saḳhta mizaj tha kab sochta tha main
main tum ko dekhta tha kisi aur ruup men
vahshat-zada the ḳhvab magar dekhta tha main
phir tum bhi ho ga.e mire maazi ka ek baab
phir qasr-e-e’tibar men tanha khaḌa tha main
Leave a Reply