• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ek Muddat Se to Thahre Hue Pani Mein Hun Main

Ek Muddat Se to Thahre Hue Pani Mein Hun Main

ek muddat se to Thahre hue paani men huun main

aur had ye hai ki kahna hai ravani men huun main

zindagi jakḌe hue thi mire andar mujh ko

maut ke ba.ad laga jaise ravani men huun main

mere hone pe jahan mujh ko hi shak hota tha

aaj us shahr ki nayab nishani men huun main

mera kirdar to bilkul bhi nahin mujh jaisa

koi batla.e mujhe kis ki kahani men huun main

kitni hi tarah se kaghaz pe likhun ḳhud ko magar

mujh ko ma.alum hai bas ek ma.ani men huun main

ḳhud ko ta.amir karun aur bikhar bhi ja.un

apni nakam tamannaon ke saani men huun main

qabr viran mire jism se baḌh kar to nahin

kis liye ḳhauf-zada naql-e-makani men huun main

hadse dard ghuTan saare vahi hain keval

ab ke kirdar kisi aur kahani men huun main

mere jazbat to buḌhon ki tarah lagte hain

sirf chehra ye batata hai javani men huun main

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ahl-E-Gham Se Ishrat-E-Alam Ka Saman Ho Gaya

ambareen-haseeb-ambar

Ho Gai Baat Purani Phir Bhi

Chhin Gae KHud Se Tumhaare Ho Gae

Chehron Pe Likha Hai Koi Apna Nahin Milta

parveen-shakir

Ku-Ba-Ku Phail Gai Baat Shanasai Ki

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet