• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tufan-E-Mohabbat Lakh uThe Tufan Se Lekin Hasil Kya

Tufan-E-Mohabbat Lakh uThe Tufan Se Lekin Hasil Kya

poet

tufan-e-mohabbat laakh uThe tufan se lekin hasil kya

jo Duub ga.i vo kashti kya jo haath aaya vo sahil kya

ye barq-o-sharar ye shams-o-qamar dete hain nishan-e-manzil kya

ai dost hamen ho sakta hai andaza-e-rang-e-mahfil kya

kya kahiye ki dard-e-furqat se ‘ehsas’ taḌapta hai dil kya

taskin to maana mumkin hai taskin se lekin hasil kya

ham duur se kya andaza karen kya naz-o-niyaz-e-ulfat the

parvane se hone vaali thi tauhin-e-mazaq-e-mahfil kya

hai rah-e-mohabbat rah-e-raza andesha-e-sud-o-ziyan kaisa

main kyuun dekhun asan hai kya main kyuun dekhun hai mushkil kya

tauhin-talab tauhin-e-junun tauhin uruj-e-manzil hai

main jis pe pahunch ja.un hamdam ho sakti hai meri manzil kya

iz.har-e-gham-e-dil karna to ‘ehsas’ ba-har-hal asan hai

ashkon ki faqat do bundon ka ankhon se nikalna mushkil kya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kisi Dil Mein Mere Liye Pyar Kyun Ho

poet

Raat Bhi Tera Dhyan Bhi Hum Bhi

poet

Hindostan

Ishq Ki Rasm Nibhana Thi Nibha Li Maine

afroz-alam

Guzre Lamhat Ka Ehsas Hua Jata Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet