• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Internet-Asthan Ki Malika

Internet-Asthan Ki Malika

sarwat-zehra

internet-asthan pe baithi khvab ki malka!

makhmal si poron se kitne roz bunogi?

khvab ki rekha

rang-rangile bair-bahuti jaise lafzon ki angnai

jalti-bujhti tasviron ki khvab-sarai

sabit anguron ke danon jaisi

duniya ki ye hosh-ruhai

tanhai ki gagar se phir lamha chhalka

internet-asthan pe baithi khvab ki malka!

duur kisi cafe men baithe

khvahish aur mohabbat ke ye ujle sign

ye jalte honton ke khat

ye hansna rona

sab kuchh aadha sach hai

aadhe sach men duub marogi

gorakh-dhanda bas ik pal ka

internet-asthan pe baithi khvab ki malka!

chating room men

sard dilon ke rash men ghutti sansen

insanon ke chehre pahne

jazbe khaen ruuh chabaen

tanhai ke ruup rangile raqs dikhaen

harfon ke bujhte angare

kitne din tak aur chunogi?

pyaas to mange rasta jal ka

internet-asthan pe baithi khvab ki malka!

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Talab Aasudgi Ki Arsa-E-Duniya Mein Rakhte Hain

Aql Har Baat Pe Hairan Hai Ise Kya Kahiye

Charagh Le Ke Hatheli Pe Chal Sakoge Kya

Baqa Ka Aur Fana Ka Moamla Hai Huzur

shahryar

Hum Padh Rahe The Khwab Ke Purzon Ko Jod Ke

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet