• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ulte Wo Shikwe Karte Hain Aur Kis Ada Ke Sath

Ulte Wo Shikwe Karte Hain Aur Kis Ada Ke Sath

momin-khan-momin

ulte vo shikve karte hain aur kis ada ke saath

be-taqati ke taane hain uzr-e-jafa ke saath

bahr-ayadat aae vo lekin qaza ke saath

dam hi nikal gaya mira avaz-e-pa ke saath

be-parda ghair paas use baitha na dekhte

uth jaate kaash ham bhi jahan se haya ke saath

vo lala-ru gaya na ho gulgasht-e-bagh ko

kuchh rang bu-e-gul ke evaz hai saba ke saath

us ki gali kahan ye to kuchh bagh-e-khuld hai

kis jaae mujh ko chhod gai maut la ke saath

aati hai bu-e-dagh-e-shab-e-tar hijr men

siina bhi chaak ho na gaya ho qaba ke saath

gulbang kis ka mashvara-e-qatl ho gaya

kuchh aaj bu-e-khun hai vahan ki hava ke saath

the vaade se phir aane ke khush ye khabar na thi

hai apni zindagani usi bevafa ke saath

kuche se apne ghair ka munh hai mita sake

ashiq ka sar laga hai tire naqsh-e-pa ke saath

allah re gumrahi but o but-khana chhod kar

‘momin’ chala hai kaabe ko ik parsa ke saath

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

zehra-nigaah

Ek Purani Kahani

poet

Nazare Hue Hain Ishaare Hue Hain

KHushi Se Ranj Ka Badla Yahan Nahin Milta

Bedam Shah Warsi

Ghamza Paikan Hua Jata Hai

Is Bazm-E-Tasawwur Mein Bas Yar Ki Baaten Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet