tumhari yaad men kuchh yuun na.e mausam banata huun
main sahra-e-junun men ret se shabnam banata huun
vo mujh ko zaḳhm dene ke liye ḳhanjar banate hain
main un ko Thiik karne ke liye marham banata huun
tiri surat nigah-o-zehn men chha.i hui hai yaar
main sub.h-o-sham tasviron ka ik album banata huun
main ḳhud ko resha resha fikr-o-fan se oḌh leta huun
ghazal ke sher ki tarkib men resham banata huun
ye harf-o-saut ki jadugari yunhi nahin aati
main ḳhud ko sarf kar ke naghma-ha-e-gham banata huun
Leave a Reply