chakhi na jis ne kabhi lazzat-e-sinan-e-nigah
maza de phir use kya tegh-e-khun-chakan-e-nigah
jis anjuman men ki padta na tha guman-e-nigah
pada hai tuut dam-e-raqs asman-e-nigah
bala se us se hi roz-e-siyah ka haal kahun
ki mil-e-surma hai is ke mizaj dan-e-nigah
dhanak se surme ki chilla hai ta ba-gosha-e-chashm
koi hai said jo phir zah hui kaman-e-nigah
bari hai vajib o mumkin ki qaid se vo husn
na darmiyana-e-mardum na darmyan-e-nigah
hua tha masti ki majlis men shab guzar apna
kiya nazara-e-mahviyyat-e-jahan-e-nigah
vo asman ki taraf dekhe gar utha kar aankh
gire zamin pe iisa bhi kha sinan-e-nigah
na taab nur-e-tajalli ki la saka muusa
farogh-e-husn hua bais-e-ziyan-e-nigah
Leave a Reply