Aaj Phir Sar-E-Maqtal De Ke KHud Lahu Humne

aaj phir sar-e-maqtal de ke ḳhud lahū ham ne

teġh-e-dast-e-qātil kī rakh lī aabrū ham ne

jān-e-ġhuncha-o-lāla rūh-e-rañg-o-bū ham ne

aap ko banāyā hai kitnā ḳhūb-rū ham ne

jab bhī lutf-e-sāqī meñ farq aate dekhā hai

baḌh ke toḌ Daale haiñ sāġhar-o-subū ham ne

bārhā zabānoñ par lag ga.ī hai pābandī

bārhā nigāhoñ se kī hai guftugū ham ne

rāh-e-shauq meñ aksar vo bhī vaqt aayā hai

jab kiyā hai hāthoñ se ḳhūn-e-ārzū ham ne

shahr ho bayābāñ ho daar ho ki zindāñ ho

naġhme zindagī hī ke gaa.e chār-sū ham ne

Leave a Comment