khamosh kali saare gulistan ki zaban hai
ye tarz-e-sukhan abru-e-khush-sukhnan hai
jo baat ki khud mere takallum pe garan hai
vo teri samaat ke to qabil hi kahan hai
har zarra pe hai manzil-e-mahbub ka dhoka
pahunche koi is bazm tak un ka hi kahan hai
insan ne asrar-e-jahan faash kiye hain
soya hua khurshid hai zarra nigaran hai
‘fitrat’ dil-e-kaunain ki dhadkan to zara sun
ye hazrat-e-insan hi ki azmat ka bayan hai