vaqt ke saath zindagi ka dukh
mire sar par hai har khushi ka dukh
apne zakhmon ko bhuul jaata huun
dekh leta huun jab kisi ka dukh
laila-e-har-sukhan pareshan hai
jab qalam men hai be-kasi ka dukh
ham-safar ab nahin koi mera
mera sathi hai ham-rahi ka dukh
aaj mearaj ho gai meri
aaj banta hai bandagi ka dukh
zindagi saari bandagi meri
mera sajda hai aadmi ka dukh
tere shams-o-qamar mire kis kaam
mere ghar men hai tirgi ka dukh
mar gaya apne vaste farhad
us ne kab sar liya kisi ka dukh
kah rahi hai numud ki har lai
band kaliyon men hai nami ka dukh
har talab se gurez-pa ik shakhs
chatta hai rahi sahi ka dukh
zindagi saari rog men guzri
tha ba-zahir jo ik ghadi ka dukh
har koi us ka saath deta hai
jo nahin bantta kisi ka dukh
vo sharik-e-safar nahin hota
main uthata huun dosti ka dukh
yad-e-yaran lahu rulaegi
aur phir ek ajnabi ka dukh
ghat gaya chand raushni maddham
meri ankhon men raushni ka dukh
jaan par ban gai ki aalam par
jaan leva hai agahi ka dukh
Leave a Reply