• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Faisle Ki Us ghaDi Ka Iltawa Achchha Laga

Faisle Ki Us ghaDi Ka Iltawa Achchha Laga

faisle ki us ghaḌi ka iltava achchha laga

ek rishta TuTne se bach gaya achchha laga

jan-e-man jan-e-vafa ḳhat men likha achchha laga

duur se us ne mujhe apna kaha achchha laga

main ne gham ki dhun bhi chheḌi aur ḳhushi ka raag bhi

tum batao giit mera kaun sa achchha laga

mujh men kya jauhar mire TuuTe hue a.ine ko

aaj us ne chand ka TukḌa kaha achchha laga

ek din aa.i to phir vapas na tanha.i ga.i

mere ujḌe ghar men us ko jaane kya achchha laga

dil na chhoḌega ziden ye to vo balak hai jise

ik khilauna mil gaya to dusra achchha laga

pesh kar diin main ne fikr-o-fan ki tasviren hazar

ḳhud pasandon ko magar ik a.ina achchha laga

chandni yadon ki thi ‘parvin’ aansu kyon baha.e

kya kafan pe tujh ko moti Tankna achchha laga

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aashiyan Par Karam-E-Barq-E-Tapan Hai Ab Bhi

Kin Manzilon Mein Gardish-E-Lail-O-Nahaar Hai

Waqt Ki Aankh Mein Sadiyon Ki Thakan Hai, Main Hun

Sabz-Ruton Mein Rang-E-KHizani paDhte Hain

Tazad-E-Jazbaat Mein Ye Nazuk Maqam Aaya to Kya Karoge

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet