band hoti kitabon men udti hui titliyan daal diin
kis ki rasmon ki jalti hui aag men ladkiyan daal diin
khauf kaisa hai ye naam is ka kahin zer-e-lab bhi nahin
jis ne hathon men mere hare kanch ki chudiyan daal diin
hont pyase rahe hausle thak gae umr sahra hui
ham ne paani ke dhoke men phir ret par kashtiyan daal diin
mausam-e-hijr ki kaisi saaat hai ye dil bhi hairan hai
mere kanon men kis ne tiri yaad ki baliyan daal diin
Leave a Reply