ibtida bigdi intiha bigdi
ibn-e-adam ki har ada bigdi
charasazon ki chara-sazi se
aur bimar ki dasha bigdi
baaz aaya na apni fitrat se
meri naseh se barha bigdi
ban gaya marjaa-e-khalaiq-e-dasht
shahr ki is qadar faza bigdi
naam rakkha gaya sumum us ka
lala-o-gul se jab saba bigdi
mai-kade men bhi dekh kar na kaho
niyyat-e-shaikh-e-parsa bigdi
tark-e-ulfat ke baad to ‘atish’
baat pahle se bhi siva bigdi
Leave a Reply