Tuk ik ai nasim sambhal le ki bahar mast-e-sharab hai
vo jo husn-e-alam-e-nashsha hai use ab ki ain-shabab hai
vo ghaTa.en chha.in jo kaliyan jo hari-bhari huiin Daliyan
ubhar aa.iin phulon ki laliyan to baja.e ab-e-shahab hai
ye do-roza nashv-o-numa ko tu na samajh ki naqsh-e-pur-ab se
ye sarab hai ye habab hai faqat ek qissa-e-ḳhvab hai
araq-e-bahar-e-sharab hai vo hi aaj chhiḌkenge aap par
na to bed-e-mushk hai is ghaḌi na to kevḌa na gulab hai
unhen kahne sunne se bair hai jo ḳhud aa.en so to ba-ḳhair hai
ye gharaz ki zor hi sair hai na saval hai na javab hai
kidhar aa.uun ja.un karun so kya mira ji hi naak men aa gaya
na to arz-e-hal ki taab hai na to sabr-e-ḳhana-ḳharab hai
mujhe vahsh-o-tair se rashk hai ki kabhi unhon ko kisi namat
na saval hai na javab hai na azaab hai na iqaab hai
miri baat maan suna dila na to arz o farz pe ji chala
koi un ko Toke so kya bhala ki vo aali un ki janab hai
are ‘insha’ ab jo ye daur hai tiri vaz.a in dinon aur hai
ye bhi koi ziist ka taur hai na sharab hai na kabab hai
Leave a Reply