• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hum Ko Junun Kya Sikhlate Ho Hum The Pareshan Tum Se Ziyaada

Hum Ko Junun Kya Sikhlate Ho Hum The Pareshan Tum Se Ziyaada

majrooh-sultanpuri

ham ko junun kya sikhlate ho ham the pareshan tum se ziyada

chaak kiye hain ham ne azizo chaar gareban tum se ziyada

chak-e-jigar mohtaj-e-rafu hai aaj to daman sarf-e-lahu hai

ik mausam tha ham ko raha hai shauq-e-baharan tum se ziyada

ahd-e-vafa yaron se nibhaen naz-e-harifan hans ke uthaen

jab hamen arman tum se siva tha ab hain pasheman tum se ziyada

ham bhi hamesha qatl hue aur tum ne bhi dekha duur se lekin

ye na samajhna ham ko hua hai jaan ka nuqsan tum se ziyada

jaao tum apne baam ki khatir saari laven shamon ki katar lo

zakhm ke mehr-o-mah salamat jashn-e-charaghan tum se ziyada

dekh ke uljhan zulf-e-dota ki kaise ulajh padte hain hava se

ham se sikho ham ko hai yaaro fikr-e-nigaran tum se ziyada

zanjir o divar hi dekhi tum ne to ‘majruh’ magar ham

kucha kucha dekh rahe hain alam-e-zindan tum se ziyada

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aaj Mujhko Bhi Mere Ahbab Dhoka De Gae

poet

Qafas-E-Jism-O-Jaan Mein Qaid Rahe

Sufi

Ghar Se Nikalna Jab Meri Taqdir Ho Gaya

ahmad-nadeem-qasmi

Waqt

Ye Man-Bhawan Sa Apna-Pan Jaane Kahan Se Late Ho

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet