Ab to Munh Se Bol Mujhko Dekh Din Bhar Ho Gaya

ab to muñh se bol mujh ko dekh din bhar ho gayā

ai but-e-ḳhāmosh kyā sach-much kā patthar ho gayā

ab to chup ho baaġh meñ nāloñ se mahshar ho gayā

ye bhī ai bulbul koī sayyād kā ghar ho gayā

iltimās-e-qatl par kahte ho fursat hī nahīñ

ab tumheñ itnā ġhurūr allāhu-akbar ho gayā

mahfil-e-dushman meñ jo guzrī vo mere dil se pūchh

har ishāra jumbish-e-abrū kā ḳhanjar ho gayā

āshiyāne kā batā.eñ kyā pata ḳhāna-ba-dosh

chaar tinke rakh liye jis shāḳh par ghar ho gayā

hirs to dekho falak bhī mujh pe kartā hai sitam

koī pūchhe to bhī kyā un ke barābar ho gayā

soḳhta dil meñ na miltā tiir ko ḳhuuñ ai ‘qamar’

ye bhī kuchh mehmāñ kī qismat se mayassar ho gayā

Leave a Comment