• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Qissa Gul-Baadshah Ka

Qissa Gul-Baadshah Ka

zehra-nigaah

naam mera hai gul-badshah

umr meri hai terah baras

aur kahani

meri umar ki tarah se muntashir muntashir

mukhtasar mukhtasar

meri be-nam be-chehra maan

be-dava mar gai

baap ne us ko burqe men dafna diya

us ko dar tha ki munkir-nakir

meri amman ka chehra na dekhen

vaise zinda thii, jab bhi vo madfun thi

baap ka naam zar-taj-gul

umar battis baras

vo mujahid shahadat ka talib rah-e-haq ka musafir hua

aur jam-e-shahadat bhi us ne

apne bhaai ke hathon piya

jo shumali mujahid tha

aur panj-vaqta namazi bhi tha

masala is shahadat ka pechida hai

is ko behtar yahi hai yahin chhod den

ab bahar-hal baaba to jannat men hai

us ke hathon men jam-e-tuhur

us ki banhon men huur o qusur

meri taqdir men bam-dhamake dhuan

pighalti hui ye zamin

bikharta hua asman

bad-az-marg vo zinda hai

zindagi mujh se sharminda hai

2

kal sar-e-sham dushman ne aate hue

bam ke hamrah barsa diye

mujh pe kuchh piile thaile

jin se mujh ko mile

gol roti ke tukde

ek makkhan ki tikiya

ek sharbat ki botal

murabbe ka dabba

is ke badle men vo le gae

mere bhaai ka dast-e-mashaqqat

jis men minnat ka dora bandha tha

meri chhoti bahan ka vo paanv

jis se rang-e-hina phutta tha

log kahte hain ye amn ki jang hai

amn ki jang men hamla-avar

sirf bachchon ko be-dast-o-pa chhodte hain

un ko bhuka nahin chhodte

akhir insaniyat bhi koi chiiz hai

main dahakte pahadon men tanha

apne tarke ki banduq thame khada huun

tamasha-e-ahl-e-karam dekhta tha

tamasha-e-ahl-e-karam dekhta huun

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Phul Bhare Hain Daman Daman

nasir-kazmi

dhup Thi Aur Baadal Chhaya Tha

Shab-E-Mahtab Bhi Apni Bhari-Barsat Bhi Apni

Hain Aise Bad-Hawas Hujum-E-Bala Se Hum

Sahraon Ne Manga Pani

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet