Jab Bhi Hansi Ki Gard Mein Chehra Chhupa Liya

jab bhī hañsī kī gard meñ chehra chhupā liyā

be-laus dostī kā baḌā hī mazā liyā

ik lamha-e-sukūñ to milā thā nasīb se

lekin kisī sharīr sadī ne churā liyā

kāñTe se bhī nichoḌ lī ġhairoñ ne bū-e-gul

yāroñ ne bū-e-gul se bhī kāñTā banā liyā

‘aslam’ baḌe vaqār se degrē vasūl kī

aur is ke ba.ad shahr meñ ḳhvāncha lagā liyā

Leave a Comment