vo jo ab dil ki rahguzar men nahin
vaqt kahta hai main safar men nahin
meri divangi bhi ḳhatm hui
tere jalve bhi ab nazar men nahin
kya gham-e-yar kya ḳhayal-e-bahar
aaj sauda bhi koi sar men nahin
ham sa kya hoga koi be-saman
haa.e nam-e-ḳhuda bhi ghar men nahin
vaj.h-e-rusva.i hai yahan har baat
aib men kya hai jo hunar men nahin
main huun tere jamal se sozan
apna kuchh tabish-e-qamar men nahin
ek divar-e-tirgi ke siva
koi manzar bhi ‘arsh’ dar men nahin
Leave a Reply