• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ta Na Pade Khalal Kahin Aap Ke Khwab-E-Naz Mein

Ta Na Pade Khalal Kahin Aap Ke Khwab-E-Naz Mein

momin-khan-momin

ta na pade khalal kahin aap ke khvab-e-naz men

ham nahin chahte kami apni shab-e-daraz men

aur hi rang aaj hai ariz-e-gul-azar ka

khun-e-dil apna tha magar go na rukh-e-taraz men

kyunki na aadhi aadhi raat jaage vo jis ka dhyan ho

ahu-e-nim-khvab men nargis-e-nim-baz men

khusrav-e-aish-e-vasl-e-yar jan-kani aur kohkan

apna jigar to khuun hua ishq ke imtiyaz men

bin tire bazm-e-sur men hain ye qabahaten ki hai

naghma-e-sur ka asar naghma-e-nai-navaz men

un se ab iltifat ki ghair ko hain shikayaten

sun ke mira mubalagha minnat-e-ehtiraz men

kya sabhi siine jal chuke kya sabhi dil pighal chuke

bu-e-kabab ab nahin ah-e-jigar-gudaz men

parda-nashin ke ishq men parda-dari na ho kahin

hoti hain be-hijabiyan jan-e-nahufta-raz men

rakhna-e-dar se ghair paas dekha kise ki aaj hai

rakhna-gari kuchh aur hi nala-e-rakhna-saz men

yad-e-butan men laakh baar fart-e-qalaq se ham bhi to

baithe uthe hain ‘momin’ aap gir rahe shab namaz men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Lakdi Ki do Mezen Hain Ek Lohe Ki Almari Hai

bushra-ejaz

Mohabbat Mein Koi Sadma Uthana Chahiye Tha

Sheikh Saadi

Story 27 – The Manners Of Kings – Gulistaan-e-Sa.Adii

Nawed-E-Amad-E-Fasl-E-Bahaar Bhi to Nahin

Dasht-Dar-Dasht Phira Karta Hun Pyasa Hun Main

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet