• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kahne Mein Nahin Hain Wo Hamare Kai din Se

Kahne Mein Nahin Hain Wo Hamare Kai din Se

mirza-shauq-lakhnavi

kahne men nahin hain vo hamare kai din se

phirte hain unhen ghair ubhare kai din se

jalve nahin dekhe jo tumhare kai din se

andhere hain nazdik hamare kai din se

be-subh nikalta nahin vo raat ko ghar se

khurshid ke andaz hain saare kai din se

ham jaan gae aankh milao na milao

bigde hue tevar hain tumhare kai din se

kis chak-e-gareban ka kiya aap ne matam

kapde bhi nahin tum ne utare kai din se

divana hai saudai hai farmate hain aksar

in namon se jaate hain pukare kai din se

dil phans gaya hai aap ki zulfon men hamara

hain banda-e-be-dam tumhare kai din se

munh gaal pe rakh dete hain sote men chimat kar

kuchh kuchh to haya kam hui baare kai din se

mehndi bhi hai missi bhi hai lakha bhi hai lab par

kuchh rang hain be-rang tumhare kai din se

dar se tire kakul ke nahin chalte hain raste

dam band hain is saanp ke maare kai din se

akhir miri aahon ne asar apna dikhaya

ghabrae hue phirte ho pyare kai din se

kis kushta-e-kakul ka rakha sog miri jaan

gesu nahin kyuun tum ne sanvare kai din se

pamal karoge kisi varafta ko apne

atkheliyan hain chaal men pyare kai din se

ik shab mire ghar aan ke mehman rahe the

aae nahin is sharm ke maare kai din se

phir ‘shauq’ se kya us but-e-ayyar se bigdi

hote nahin baham jo ishare kai din se

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Riya-Kari Ke Dhandon Mein Na Tu Shamil Na Main Shamil

KHud Se Koi Mukar Gaya Hoga

Na Tanha Nastarin O Nastaran Se Ishq Hai Mujhko

Hazar Shewa-E-Rangin Hai Ek Jafa Ke Liye

Hawa-E-Ishq Mein Shamil Hawas Ki Lu Hi Rahi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet