jalte hue kuchh soch ke ik pal ko ruka tha
aise bhi vo yadon ko miri chhoḌ raha tha
ankhon men thakan gard-e-mah-o-sal jabin par
ik shaḳhs kahin duur dhundlakon men mila tha
ab kyuun hai udasi ka saman hadd-e-nazar tak
kal raat ḳhayalon men koi jaag raha tha
kyuun maslahatan log use bhuul ga.e hain
insan ki azmat ko salibon men paḌha tha
tanha.i ke darvaze se yadon ka samundar
lagta hai ki jazbat men sar maar raha tha
rah rah ke vo chehra mujhe yaad aata hai ‘saqib’
dekha nahin ji bhar ke use kaun tha kya tha
Leave a Reply