yaad aati hain hamen jaan tumhari baten
haae vo pyaar ki avaz vo pyari baten
pahron chup rahte hain ham aur agar bolte hain
vahi phir phir ke ulatti hain tumhari baten
ghair har dam mujhe baten jo suna jaate hain
janta huun ye main ai jaan tumhari baten
yaad aata hai tira kya ke evaz ka kahna
haae phir kab main sununga vo ganvari baten
hai buri baat ye aghyar se baten karni
varna ai jaan tiri achchhi hain saari baten
is tarah bol nikalte na sune the ham ne
karti hai saaf sanam teri sitari baten
tu vo ejaz-e-bayan hai ki masiha samjhen
sun len ai jaan kisi din jo juari baten
is liye ashk bahata huun dam-e-fikr-e-sukhan
ki hamesha rahen duniya men ye jaari baten
tu vo gul hai ki agar kaan dhare gulshan men
ho zaban mauj kare bad-e-bahari baten
kijiye sehr-bayani se musakhkhar kyun-kar
kabhi sunta nahin ‘nasikh’ vo hamari baten
Leave a Reply