dard ke sanche men Dhal kar rah ga.i
zindagi karvaT badal kar rah ga.i
vaqt-e-nazzara nigah-e-baryab
un ke jalvon men machal kar rah ga.i
aankh men aansu machal kar rah ga.e
mauj dariya men uchhal kar rah ga.i
kya kiya ai bulbul-e-atish-nava
ashiyan men barq jal kar rah ga.i
un ka gham mujh ko vadi.at ho gaya
saari duniya haath mal kar rah ga.i
Leave a Reply