asar miri zaban men nahin raha
vo tiir ab kaman men nahin raha
hai pattharon ka qarz us ke dosh par
jo kanch ke makan men nahin raha
alaav sard ho ga.e hayat ke
rachao dastan men nahin raha
tha jis pe meri zindagi ka inhisar
usi ka naam dhyan men nahin raha
guman hi asasa tha yaqin ka
yaqin hi guman men nahin raha
hua jo sahl us ke ghar ka rasta
maza hi kuchh takan men nahin raha
na ki kabhi bhi fikr main ne suud ki
kabhi bhi main ziyan men nahin raha
vo kho gaya ghubar-e-gard-e-rah men
jo shaḳhs imtihan men nahin raha
ḳhamoshiyon ne bhar diya ḳhalaon ko
suḳhan vo darmiyan men nahin raha
taḌap uThe jise ḳharidne ko dil
vo maal hi dukan men nahin raha
Leave a Reply