kab nigah us ki ishva-bar nahin
kab nigahen karishma-zar nahin
ghair par rahm ye kise aaya
tum to maana sitam-shiar nahin
yaan fughan se lahu tapakta hai
main nava-sanj-e-shakhsar nahin
kulfat-e-dil se hai jo aluda
gauhar-e-ashk abdar nahin
ham hain aise farakh-ru darvesh
mahfil-e-padshah se aar nahin
na jala khana-e-adu to na hans
shola-e-ah hai sharar nahin
baagh be-sarfa chal ke kya kiije
jin se thi baagh ki bahar nahin
baada behuda pi ke kya kiije
ab vo saaqi nahin vo yaar nahin
ai munajjam abas ye nadani
tu kuchh andaza-dan-e-kar nahin
tu ravish-yab-e-mehr-o-mah ghalat
tu ada-sanj-e-rozgar nahin
vaqif asrar-e-asmani se
juz harifan-e-bada-khvar nahin
chadh gae hain kisi ke phir dam par
‘shefta’ aaj be-qarar nahin
Leave a Reply