mohabbat ka hai sarmaya tasavvur aap ka
kabhi fursat na de paaya tasavvur aap ka
tabassum ki vaj.h mahfil men sab puchha kiye
baḌi mushkil se jhuThlaya tasavvur aap ka
sulagti arzuon ka dhuan tha ashk the
kisi surat na dhundhlaya tasavvur aap ka
yahan se dekhiye duniya hai kitni muḳhtasar
sitaron par hai le aaya tasavvur aap ka
bahane to bahut the yaad karne ke magar
ghazal kah kah ke dohraya tasavvur aap ka
Leave a Reply