ai gham-zada zabt kar ke chalna
har gaam thahar thahar ke chalna
andaz ghazab hai ye buton ka
hathon ko kamar pe dhar ke chalna
jaate hue us gali se ham ko
har gaam ik aah bhar ke chalna
ai kabk kahan tu aur vo raftar
pavega na aisa mar ke chalna
ai ‘mushafi’ kyuun dabun na us se
ashiq ka hai sheva dar ke chalna
Leave a Reply