ladka jo khub-ru hai so mujh se bacha nahin
vo kaun hai ki jis se main yaaro mila nahin
ai bulbulo chaman men na jaao gai bahar
gulshan men khar-o-khas ke siva kuchh raha nahin
hai kya sabab ki yaar na aaya khabar ke taiin
shayad kisi ne haal hamara kaha nahin
aata nahin vo yar-e-sitamgar to kya hua
koi gham to us ka dil se hamare juda nahin
tarif us ke qad ki karen kis tarah se ham
‘taban’ hamari fikr to aisi rasa nahin
Leave a Reply