thi yaad kis dayar ki jo aa ke yuun rula gai
bas ek pal men jaise zindagi bhi dagmaga gai
guman tha ye ki dab gaiin vo hasraton ki bijliyan
ye kaun si nai chamak bujhe diye jala gai
girain shakh shakh se khizan ne phuul pattiyan
ude jo biij har taraf to phir bahar aa gai
khula nigah-e-yar ka jo mai-kada to yuun laga
ki pyaas ek umar ki bas ik nazar bujha gai
khuda-qasam main bach gaya khata ki tez dhaar se
junun ki ik ada thi jo mujhe yuun aazma gai
ye kya hua ki ab tujhi se bad-guman main ho gaya
main sochta tha zindagi tu mujh ko raas aa gai
mili hai ‘azim’-e-sukhan ye kaisi tirgi tujhe
tire khayal men jo itni raushni badha gai
Leave a Reply