go siyah-bakht huun par yaar lubha leta hai
shakl saaya ke mujhe saath laga leta hai
go mulaqat nahin alam-e-bedari men
khvab men par vo hamen saath sula leta hai
ashk ko tuk bun-e-mizhgan men thaharne de dila
ye tira dekh to haan dekh to kya leta hai
rahi-e-mulk-e-adam se na kar itni kavish
dam musafir ye tah-e-naKhl zara leta hai
shisha-e-dil men mire tere khayal-e-khat se
aa gaya baal hai to mol use kya leta hai
ye masal ai but-e-mai-nosh suni hai ki nahin
le hai bartan jo koi us ko baja leta hai
tu vo hai nam-e-khuda ai but-e-kafir ki tire
zahid-e-gosha-nashin bhi qadam aa leta hai
dil pe talvar si kuchh lagti hai jab ghair ko tu
paas abru ke ishare se bula leta hai
kyuun na phule dil-e-sad-chak hamara yaaro
gul samajh kar vo use sar pe chadha leta hai
mauj-e-dariya to kab atkheli se yuun chalti hai
par tiri kabk-e-dari chaal uda leta hai
zulf-e-mushkin ko na chhed us ki dila maan kaha
apne kyuun sar pe bala ahl-e-khata leta hai
huuk si uthti hai kuchh dil men mire aah ‘nasir’
jab vo pahlu men raqibon ko bitha leta hai
Leave a Reply