haq-mehr kitna hoga bataya nahin gaya
shahzadiyon ko baam par laaya nahin gaya
kamzor si hadis suna di gai koi
insaf ka tarazu uthaya nahin gaya
main apne saath saath huun vo apne saath saath
ham-zad aap ham ko banaya nahin gaya
pyale men pyaas aur dariche men chand tha
vo so raha tha mujh se jagaya nahin gaya
ik khvab dekhne men hi ham sarf ho gae
angar zindagi ka jalaya nahin gaya
har baar chhod aati huun dariya men lahr ko
chullu men bhar ke mujh se uthaya nahin gaya
Leave a Reply