• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hath Na Aai duniya Bhi Aur Ishq Mein Bhi Gumnam Rahe

Hath Na Aai duniya Bhi Aur Ishq Mein Bhi Gumnam Rahe

shabnam-shakeel

haath na aai duniya bhi aur ishq men bhi gumnam rahe

soch ke ab sharminda hain kyuun donon men nakam rahe

ab tak us ke dam se apni khush-fahmi to qaaem hai

achchha hai jo baat men is ki thoda sa ibham rahe

ham ne bhi kuchh naam kiya tha ham ko bhi eazaz mile

ishq men ham bhi ik muddat tak morid-e-sad-dushnam rahe

mere paas to apne liye bhi aksar koi vaqt na tha

haan jo faraghat ke lamhe the teri yaad ke naam rahe

vaqif-e-hal to hai vo apna munsif-e-jan-dar sahi

us ke har insaf ka lekin mere sar ilzam rahe

aaj ka din bhi be-masraf si sochon hi men biit gaya

aaj ke din bhi yuun hi pade phir ghar ke saare kaam rahe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Banda-Parwar Jo Na Pachhtaiyega

poet

Intiha Zoaf Ki Hai Saf Numayan Mujhse

Aziyyaton Ka Naya Silsila to Hona Tha

Jagna Raaton Mein Yaadon Ke Bhanwar Mein Dubna

KHun Kis Kis Ka Hua Sadqe Teri Talwar Par

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet