• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Apni KHabar, Na Us Ka Pata Hai, Ye Ishq Hai

Apni KHabar, Na Us Ka Pata Hai, Ye Ishq Hai

apni ḳhabar, na us ka pata hai, ye ishq hai

jo thaa, nahin hai, aur na thaa, hai,, ye ishq hai

pahle jo thaa, vo sirf tumhari talash thi

lekin jo tum se mil ke hua hai, ye ishq hai

tashkik hai, na jang hai mabain-e-aql-o-dil

bas ye yaqin hai ki ḳhuda hai, ye ishq hai

behad ḳhushi hai, aur hai be-intiha sukun

ab dard hai, na gham, na gila hai, ye ishq hai

kya ramz janni hai tujhe asl-e-ishq kii?

jo tujh men us badan ke siva hai, ye ishq hai

shohrat se teri ḳhush jo bahut hai, ye hai ḳhirad

aur ye jo tujh men tujh se ḳhafa hai, ye ishq hai

zer-e-qaba jo husn hai, vo husn hai ḳhuda

band-e-qaba jo khol raha hai, ye ishq hai

idrak ki kami hai samajhna ise maraz

is ki duaa, na is ki dava hai, ye ishq hai

shaffaf o saaf, aur latafat men be-misal

saara vajud a.ina sa hai, ye ishq hai

ya.ani ki kuchh bhi is ke siva sujhta nahin?

haan to janab, mas.ala kya hai? ye ishq hai

jo aql se badan ko mili thii, vo thi havas

jo ruuh ko junun se mila hai, ye ishq hai

is men nahin hai daḳhl koi ḳhauf o hirs ka

is ki jaza, na is ki saza hai, ye ishq hai

sajde men hai jo mahv-e-dua vo hai be-dili

ye jo dhamal Daal raha hai, ye ishq hai

hota agar kuchh aur to hota ana-parast

us ki raza shikast-e-ana hai, ye ishq hai

‘irfan’ manne men ta.ammul tujhe hi tha

main ne to ye hamesha kaha hai, ye ishq hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Yun Bane-Sanwre Hue Se Phul Hain Gulzar Mein

Ashk Aankhon Mein Aur Dil Mein Aahon Ke Sharar Dekhe

Isi Bazar Tak Bas Raushni Hai

meer-hasan

Ai Gard-Baad Tarf-E-Chaman Tuk Guzar Kar

Mere miTne Pe Gar Tu Bhi miTa Hota to Kya Hota

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet