asuda dil men uthne laga iztirab kya
is zindagi men ho gaya shamil shitab kya
qasid ke haath apna ye paigham saunp kar
phir sochte raho ki ab aae javab kya
us ka hai fazl zarra jo chamke ba-san-e-zar
hai varna kya ye maah bhi aur aftab kya
hai niind se koi bhi taalluq nahin mira
har dam ye chashm-e-va men ubharta hai khvab kya
kya fat.h-yab ho saka hai koi tegh se
phir bhi hai darmiyan-e-mamalik zirab kya
hoga jo e’tibar taammul rahega kya
kamil supurdagi ho to sharm-o-hijab kya
mumkin kahan ho haath men ‘naqid’ tire quran
kafir bata hai samne tere kitab kya
Leave a Reply