koi shai nahin yahan mustaqil ye ajab yahan ka nizam hai
kabhi dhuup hai kabhi chhanv hai kabhi sub.h hai kabhi shaam hai
vo jafa karen to jafa karen main vafa se baaz na a.unga
unhen apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam hai
jo hamari nazren na pa saken to hamari nazron ki hai ḳhata
tira jalva pahle bhi aam tha tira jalva aaj bhi aam hai
ye miTa chuki miri zindagi to karam se apne sanvar de
vo miri nigah ka kaam tha ye tiri nigah ka kaam hai
vo haram ho ya ki ho but-kada ki vo sang-e-dar ho habib ka
jahan teri yaad na aa sake vahan sajda karna haram hai
ye ḳhabar hai ziist ka karvan rah-e-ishq men hai ravan-davan
magar us ki koi ḳhabar nahin ki safar kahan pe tamam hai
use zindagi ka laqab diya ki jo ek ḳhvab-e-fareb hai
use maut kahta hai be-ḳhabar ki jo zindagi ka payam hai
nahin kamyab amal agar tu adam men ho ki vajud men
na yahi sukun ka maqam hai na vahi sukun ka maqam hai
Leave a Reply